Kesa maftooh sa manzar hai kayi sadiyon se
Mere qadmon pe mera sar hai kayi sadiyon se
khof rehta hai ke sailaab na le jaye kahin
Meri palkon pe tera ghar hai kayi sadiyon se
Us ke paani main bhi pehle sa woh thehrao nahin
Yeh jo bechain samandar hai kayi sadiyon se
Ashk ankhon main sulagtay hue so jate hain
Yeh meri ankh jo banjar hai kayi sadiyon se
Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
Tu meri rooh ke andar hai kayi sadiyon se
Yeh mujhe saans bhi khul ke nahi lene deta
Meri sheh-rag pe jo khanjar hai kayi sadiyon se
Main ne jis ke liye har shakhs ko naraz kia
Rooth jaye na yehi dar hai kayi sadiyon se
Us ki aadat hai jarhen kaat-te rehne ki WASI
Jo meri zaat ka mehwar hai kayi sadiyon se
Wasi Shah