Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi dia hai maqaam tum se hai
Tumhare dum se hain mere lahoo main khiltay gulaab
Mere wajood ka saara nizaam tum se hai
Kahan bisaat-e-jahan or main kamsin or nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemaam tum se hai
Jahan jahan hai meri dushmani sabab main hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai
Wasi Shah