Dayar-e-gair main kese tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
Tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh warna
Dua woh karte ke hum asmaan hila dete
Hamen yeh zom raha ab ke woh pukarenge
Unhen yeh zid thi ke har baar hum sada dete
Woh tera gham tha ke taseer mere lehje ki
Ke jis ko haal sunate usay rula dete
Tumhen bhoolna hi awal to dastaras main nahin
Jo ikhteyaar bhi hota to kia bhula dete
Tumhari yaad ne koi jawaab hi na dia
Mere khayal ke ansoo rahe sada dete
Saamton ko main ta-umar kosta Wasi
Woh kuch na kehte magar honth to hila dete
Wasi Shah