Main tere kaan se lag kar kayi baaten karta
Teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta
Jab bhi tu band quba kholne lagti Jaana
Apni ankhon ko tere husun se khaira karta
Mujh ko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
Main teri rooh ke gulshan main mehekta rehta
Main tere Jism ke aangan main khanakta Rehta
Kuch nahin to bas yehi badnaam sa bandhan hota
Kaash Main tere haseen hath ka kangan hota
Wasi Shah