Tum Meri Aankh Ke Taiwar Na Bhula Paaoge
An-kahi baat ko samajho ge to yaad aaonga
Hum ne Khushiyon ki tarhan dukh bhi ikhatthay dekhe
Safaah-e-zeest ko palatoge to yaad aaonga
Isi andaaz main hote thay mukhatib mujh se
Khat kisii or ko likhoge to yaad aaonga
Sard raaton ke mehekte hue sannaton main
Jab kisi phool ko choomoge to yaad aaonga
Ab tere ashk main honthon se chura leta hoon
Haath se Khud inhen ponchoge to yaad aaonga
Shaal pohanchaye ga ab kon december main tumhen
Barishon main kabhi bheego ge to yaad aaonga
Aaj tum mehfil-e-yaaran pe ho magroor bohat
Jab kabhi toot ke bikharo ge to yaad aaonga
Haadsay aayen ge jeevan main to tum ho ke nidhaal
Kisi deewar ko thaamo ge to yaad aaonga
Is main shaamil hai meri bakht ki tareeki bhi
Tum siyaah rang jo pehno ge to yaad aaonga
Wasi Shah