har koi dil ki hatheli pe ha sehra rakhe
kis ko serab kare woh kise pyasa rakhe
umar bhar kaun nibhana hai ta'luq itna
aye meri jaan ke dushman tujhe Allah rakhe
hum ko acha nahi lagta koi humnam tera
koi tujh sa ho to naam bhi tujh sa rakhe
dil bhi pagal hai us shakhs se hai wabasta
jo kisi aur ka hone de na apna rakhe
hans na itna bhi hum faqeeron ke akelepan pe
ja Khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakhe
yeh qana'at hai, ata'at hai, ke chahat hai Faraz
hum to razi hain woh jis haal mein jaisa rakhe