hum sunayein to kahani aur hai
yaar logon ki zabani aur hai
charagar rote hain taza zakhm ko
dil ki beemari purani aur hai
jo kaha hum ne woh mazmoon aur tha
tarjuman ki tarjumaani aur hai
nama bar ko kuch bhi hum peghaam dein
dastaan us ne sunaani aur hai
aab-e-zamzam dost laaye hain abas
hum jo peete hain woh paani aur hai
sab qayamat qaamton ki dekh lo
kya mere jaanan ki saani aur hai?
ehal dil ki anjuman mein aa kabhi
un ki duniya yaar jaani aur hai
shairi karti hai ik duniya Faraz
per teri sada bayani aur hai