rait ki loh pe likhe hue darya ki tarah
yeh jo har raah ke humrah chali aati hai
kaisi deewar hai yeh?
azazil tana abad
khawab aur khwab ki taabeer ke mabeen jo yeh
bhaagte waqt ki talwaar si lehrati hai
kaisi talwar hai yeh?
yeh jo har morh yeh rukte hue raste ki tarah
dolte paon ki zanjeer bani jati hai
kaisi raftaar hai yeh?
lafz ki raah mein, ma'ni ki guzargahon mein
kaun se sach ko chupane ke liye
jhoot stage ke parde ki tarah hayil hai
yeh bhi maaloom nahi
kaun nazir hai yahan aur tamasha kya hai?
rait ki looh pe likhe hue darya ki tarah
azufaq taba ufaq
shak ki deewar chali jaati hai
shak ki deewar ke us paar ka manzar kya hai?
kaun batlaye mujhe!
baar ki roop hai kya, baat ke andar kya hai?