Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
Waqt ka kia hai guzarta hai guzar jaye ga
Itna manoos na ho khalwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jaye ga
Tum sar-e-Raah wafa dekhte reh jao ge
Or woh baam-e-rafaqat se utar jaye ga
Zindagi teri ata hai to yeh jaane waala
Teri bakshish teri dehleez pe ghar jaye ga
Doobtay doobtay kashti ko uchala de don
Main nahin koi to saahil pe utar jaye ga
Zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz
Zaalim ab ke bhi na roye ga to mar jaye ga