Hui hai shaam to ankhon main bas gaya phir tu
Kahan gaya hai mere shehar ke musafir tu
Bohat udaas hai ik shakhs tere jane se
Jo ho sake to chala aa usi ki khatir tu
Main janta hoon ke dunya tujhe badal degi
Main manta hoon ke aisa nahi bazahir tu
Hansi khushi se bichar ja agar bicharna hai
Yeh har qadam pe kia sochta hai aakhir tu
Faraz tu ne usay mushkilon main daal dia
Zamana sahib-e-zar or sirf hai shayar tu