Tera gham apni jaga, dunya ke gham apni jaga
Phir bhi apne ehad pe qayam hain hum apni jaga
Kia karen yeh dil kisi ki naseehat sunta nahin
Aap ne jo kuch kaha aay Mohtaram, apni jaga
Yaar be parwah! kabhi hum ne koi shikwa kia
Haan magar in naspas ankhon ka num hona apni jaga
Mehfil-e-Jaana ho, Maqtal ko ke mai-khana Faraz
Jis jaga jayen bana lete hain hum apni jaga