Usay kehna
Abhi tak dil dharakhta hai
Abhi tak saans chaltii hai
Abhi tak meri ye ankhain
Soohanay khawab bunti hain
Meray hontoon ki junbish main
Tumhara naam rehta hai
Abhi barish ki bondoon main
Tumhara piyar baqi hai
Usay ye bhi bata daina
Abhi izhaar baqi hai
Abhi yaadon k kantoon say
Mera daman ulajhta hai
Tumhara piyar seenay main
Kahin ab bhi dharakhta hai
Hawa ab bhi mawaqif hai
Humaray saath chaltii hai
Usay kehna...!!
Judai ka abhi mousam nahi aaya
Mohab'bat ki kahani main
Kahin par ghum nahi aaya
Magar sub kuch badalnay main
Bhala kia dair lagti hai
Naya sooraj nikalnay main
Bhala kitni dair lagtii hai
Usay kehna!!
Woh jaldii faisla kar lay
Nayye rastoon pay chalnay main
Bhala kia dair lagtii hai ............!!