Pata nahin woh kaun tha
Jo mere haath
Phool ka sa ahsaas thama ke chal diya
Pata nahin woh kaun tha
Hawa ke jhonke ki tarah jo aaya aur guzar gaya
Nazar ko rang,dil ko nikhaton ke dukh se bhar gaya
Mein kaun hoon
Guzarne wala kaun tha
Ye phool pankh kya hain kyun mile
Ye soachte hi soachte ,tamam rang ek rang mein utar gaye
.................Sya ah rang
Tamam nikhatein idher udher bikhar gayin
.................Kha laon mein
Yaqeen hai......nahin nahin gumaan hai
Woh koi mera dusman-e-qadeem tha
Dikha ke jo saraab meri pyaas aur badha gaya
Mein be hisaab aarzoo'on ka shikar
Inteha-e-shaque mein fareb us ka kha gaya
Gumaan hai......nahin nahi yaqeen hai
Woh koi mera dost tha
Jo do ghadi ke waaste hi kyun na ho
Nazar ko rang ,dil ko nikhaton se bhar gaya
Pata nahin kidhar gaya
Mein usko dhoondta hua
Tamaam kainaat mein
Idher udher bikhar gayaa....!!!!