JUGNOO - 1
GUJNOO KI ROSHNI HAY KASHANA E CHAMAN MEIN
YA SHAMMA JAL RAHI HAY PHOOLOON KI IANJUMAN MEIN
AYA HAY ASMAN SAY URR KER KOI SITARA
YA JAN PARR GAI HAY MEHTAB KI KIRAN MEIN
YA SHAB KI SALTANAT MEIN DIN KA SAFEER AYA
GHURBAT MEIN AA KAY CHAMKA' GUMNAM THA WATAN MEIN
TAKMA KOI GIRA HAY MEHTAB KI QABA SAY
ZARRA HAY YA NUMAYAN SOORAJ KAY PERHAN MEIN
HUSN E QADEEM KI YEH POSHEEDA IK JHALAK THI
LAY AI JIS KO QUDRAT KHALWAT SAY ANJUMAN MEIN
CHOTAY SAY CHAND MEIN HAY ZULMAT BHI ROSHNI BHI
NIKLA KABHI GAHEN SAY' AYA KABHI GOHAN MEIN
PERWANA K PATANGA' JUGNOO BHI IK PATANGA
WO ROSHNI KA TALIB' YE ROSHNI SARAPA
Dr. Allama Muhammad Iqbal