NA'ALA E FARAQ
ABR E REHMAT DAMAN AZ GULZAR E MAN BAR CHEED O RAFT
AND KAY BAR GHUNCHA HAYE ARZOO BAREED O RAFT
TOO KAHAN HAY AYE KALEEM E ZAR-WA O SEESNA E ILAM
THI TERI MOJ E NAFAS BAD E NISHAT AFZAY E ILAM
AB KAHAN WO SHOQ E REH PEMAI E SEHRA E ILAM
TERAY DAM SAY THA HAMARAY SAR MEIN BHI SODA E ILAM
SHOR E LELA KO KEH BAZ ARA-YASH E SODA KUNAD
KHAK E MAJNOON RA GHUBAR E KHATIR E SEHRA KUNAD
KHOL DAY GA DASHT E WEH-SHAT UQDA E TAQDEER KO
TORR KER POHANCHOON GA MEIN PANJAB KI ZANJEER KO
DEKHTA HAY DEEDA E HERAN TERI TASWEER KO
KIA TASALLI HO MAGAR GARWEEDA E TAQREER KO
TAB E GOYAI NAHI RAKHTA DEHAN TASWEER KA
KHAMSHI KEHTAY HEIN JIS KO' HAY SUKHAN TASWEER KA
Dr. Allama Muhammad Iqbal