TASWEER E DARD
DAWA HER DUKH KI HAY MAJROOH E TEGH E ARZOO REHNA
ILAJ E ZAKHAM HAY AZAD E EHSAN E RAFOO REHNA
SHARAB E BEKHOODI SAY TA FALAK PERWAZ HAY MERI
SHIKAST E RANG SAY SEEKHA HAY MEIN NAY BAN KAY BOO REHNA
THAMAY KIA DEEDA E GIRYAN WATAN KI NOHA KHAWANI MEIN
IBADAT CHASHM E SHAYAR KI HAY HER DAM BA WAZOO REHNA
BANAEIN KIA SAMAJH KER SHAKH E GUL PER ASHIYAN APNA
CHAMAN MEIN AH! KIA REHNA JO HO BE-ABROO REHNA
JO TOO SAMJHAY TOW AZADI HAY POSHEEDA MOHABBAT MEIN
GHULAMI HAY ASEER E IMTIAZ E MA O TOO REHNA
YEH ISTAGHNA HAY PANI MEIN NAGOON RAKHTA HAY SAGHIR KO
TUJHAY BHI CHAHIYE MISL E HABBAB E ABJO REHNA
NA REH APNOON SAY BE-PERWA' ISI MEIN KHER HAY TERI
AGAR MANZOOR HAY DUNYA MEIN O BEGANA KHAWA REHNA
SHARAB E ROOH PERWAR HAY MOHABBAT NO E INSAN KI
SIKHAYA IS NAY MUJH KO MAST E BE JAM O SABOO REHNA
MOHABBAT HI SAY PAI HAY SHIFA BEMAROON NAY
KIA HAY APNAY BAKHAT E KHUFTA KO BEDAR QOUMOON NAY
Dr. Allama Muhammad Iqbal