Wo apna hai ya begana.. achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. achha lagta hai,
Kahne ko jab chaahun.. haan kar degi woh,
Lekin phir bhi uska na na.. achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. muskati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. mera usse kiya,
Mere khawabon mein bhi uska aana.. achha lagta hai