Author Topic: Namaaz Ki Ahamiyet  (Read 1420 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Master Mind

  • 4u
  • Administrator
  • *
  • Posts: 4478
  • Reputation: 85
  • Gender: Male
  • Hum Sab Ek Hin
    • Dilse
    • Email
Namaaz Ki Ahamiyet
« on: November 08, 2009, 12:48 AM »
Namaaz Ki Ahamiyet

-------------------------------






Namaaz her ek musalman per ferz hai. Hadees shareef may aaya hai ke AanHazrath SalahAlahi Wassalam ke paas ek qaum islaam laai aur arz kiya ke YaRasulAlah humen Namaaz muaf ferma di jaaye ,kyonke hum karobaari aadmi hain, maweshi(janwar) waghaira ke sabab se kapdon ki safaii ka koii etmaad nahi hota aur na humen fursat hoti hai.tou Aapne uske jawaab may fermaya ke “dekho jub Namaaz nahi tou hai hi kya? Vo deen hi nahi jisme Namaaz nahi. Namaaz kya hai? Yehi ke apne ajz-o-niyaaz aur kamzorion ko Allah ke samne pesh karna aur apni haajat-rawaai chahna, kabhi uski azmat aur uske ahkaam ki bajaa-aawri ke waste dasta-basta khade hona aur kabhi kamaal muzalat aur ferotani se uske aage sajde may gir jaana ,us se apni hajaath ka mangna, yehi Namaaz hai. Ek saayel ki tarha kabhi masul ki taarif karna ke tu aisa hai,tu aisa hai. Uski azmat-o-jalal ka izhaar karke uski remhat ko junbish dilaana, phir us se maangna. Pas jis deen may ye nahi vo deen hi kya hai. Insaan her waqt mohtaaj hai ke us say uski raza ki raahen maangta rahe aur uske fazal ka khwastgaar ho. khudaTaala ki mohabbat, usi ka khauf ,usi ki yaad may dil laga rahne ka naam Namaaz hai.aur yehi deen hai “.





“ KhudaTaala tak pahunchna manzil ba manzil hota hai.jisme insaani mehnath,koshish, jadojahad ki zarurat hoti hai. Is tarha manzil-e-muraad tak pahunchne ke liye yaane khurb-e-Ilaahi haasil karne ke liye Namaaz ek gaadi hai jasper sawaar hokar vo jald KhudaTaala ko paa sakta hai. Aur jisne Namaaz tark ki vo kis tarha Khuda ko paa sakta hai”.




Isi tarha ek aur jagah Huzur fermaate hain,





Namaaz se badh kar aur koi wazeefa nahi kyonke isme Hamd-e-Ilaahi hai ,istaghfaar hai. Aur Darud-e-Shareef, tamaam wazayef aur auraad ka majmua yehi Namaaz hai. Aur is se her qisam keghum, waham door hote hain. Aur mushkilaat hul hoti hain.Namaaz ko sanwaar sanwaar kar samjh samjh kar padho, aur masnun duaon ke baad apni zubaan may bhi duayen karo. Is se tumhen itminaan-e-qalb hogaaur sab mushkilaat Khuda Taala chahega tou is se hul hojaayengi.Namaaz yaad-e-Ilaahi ka zariya hai. Isi liye fermaya,





“ Akhimis-salaata lizikri.”





Pas Namaaz ruhaani taraqiyaat ka zariya hai.Namaaz ke zariye Islaam ne Dua ka raasta khola hai. Dua Namaz ka aham hissa hai kyonke Dua hi ke Zariye duniya ki kul hikmaten zaahir hoti hain. Her ek Baitul-ilm ki kunji Dua hai. Aur koi ilm-o-marifat ka daqeeqa nahi jo baghair iske zahur may aaya ho. Dua kya hai? Jub hum ghaur-o-fikar ke waqt ek makhfi amar ki talaash may nihayet ameeq darya may utar kar haath paun maarte hain tou hum us halaath may bazubaan-e-haal us Aala taaqat se Faiz talab karte hain jis se koi cheez poshida nahi..Talab-e-Faizaan ka dusra naam Dua hai. Dua karne se kya matlab hota hai yehi ke aalemul-ghaib jisko daqeeq dar daqeeq tadbeeren maalum hain koii ahasan tadbeer dil may daal deta hai. Ya bawajah khalikhiyet aur qudrat apni taraf se paida kare .. pas saabit hua ke “Dua dar haqeeqat talaash-e-tadbeer ka naam hai.”

Offline Dark_Lord

  • Sr. Member
  • *
  • Posts: 1300
  • Reputation: 12
Re: Namaaz Ki Ahamiyet
« Reply #1 on: January 01, 2010, 03:30 AM »
 JazaKallah BAHAUT KHOOB THNX 4 SHARING


Offline Rohanibaba

  • Newbie
  • *
  • Posts: 140
  • Reputation: 4
  • Gender: Male
Re: Namaaz Ki Ahamiyet
« Reply #2 on: February 10, 2010, 02:32 AM »

 JazaKallah  boht umdha sharing ke