Ghareeb Nawaz unhen milte hain jo nawazishon ka matlab jaante hain...unhen nawazne ka matlab ek aur karam ki ibtida hota hai....aur nawazishen jiske moqadar may aati hain vo ye silsila-e-karam badhaye jaata hai...usey jo bhi milta hai bant-ta chala jaata hai..ye daulat-e-rabbani hai....kub akele ko raas aani hai....isey tou her haal may bahuton ke seenon may muntaqal hona hai...ke yehi fermaan kibriyaii hai..yehi buzargon ki maseehaii hai....badi muddaton may bashar raaz paata hai...ek umr ganwa kar maqsud ka maqsad samjh may aata hai...maine Darbaar-e-rehmat ki azmat per nisaar hote dilon may khud ko khote dekha hai...mohabbat ka lutf dene may hai....wahaan vo dil bas dene per mayel hote hain....sawali apne sawal per sach much sherminda hota hai...kya ab mangne ki zarurat baaqi rahi? Moti tou bin mange milgaya hai.jiska taqadus khud gawah hai..khud bayaan hai...
<!--[if !supportLineBreakNewLine]--> <!--[endif]-->
Vo lamhe jo tamam moqadar per muhit hogaye ab talak hairaan hain…..maine wahan mohabbat ko ibadat karte dekha hai…khudrat ko mohabbat karte dekha hai…un mehakti hawaon may duayen hain….charind parind may bhi unki hi adayen hain…fizaon may arzu hai ekjaan hone ki…unki justaju may khud ko khone ki…ajab jazbon ki ragni banta hai dil…inka matlab samjh jaata hai dil..dubta chala jaata hai dil…her lamha shaadmaani hai…lubon per unki hi meherbaani hai..ek dil jo barson apni pyaas per hairaan tha usne paaya aab-e-hayaath ka chasma….vo sairi huii ke dil ab talak masrur hai….us sohbaat-e-khaas per maghrur hai….ke ye mujh ko haasil hogaya hai….dil usko paakar khud kho gaya hai…kaif ki misaal kya dun…us jazb-e-lazawal ko kya kahun….ab jaana ke soz may luzzat kya hai…derd ki talaash may dil kyon mayel rehte hain….ek unki hasrat may kyon ghayel rehte hain….dil ki chahat kya ek unke siwa….dil kya rooh tak hojati hai fida…saaz mohabbat ka ched jaata hai jub rooh ke taar…dil jhoomne lagte hain karte hain jub ishq ka deedar…sabr-o-qarar ka lete hain imtihaan….hijr ki saubaton may jo hote hain neemjaan…unke liye muszda-e-zeest hai ….derd ki had se guzar kar abdi qurbat haasil hoti hai….jinke nasibon may rehmat likhi hoti hai unhen rehbar ki sohbat haasil hoti hai….
<!--[if !supportLineBreakNewLine]--> <!--[endif]-->
Vo riyazaten jo umr maangti hain...vo ibadaten jo daur mangti hain...vo mohabbaten jo shaur mangti hain.....kya inse hi milti hai marifat ki gali...khuda ne kaha mai kahan nahi...teri soch may hun mai...tere jism-o -jaan may...tere khayal-e-begumaan may....tu jahaan na pahunch sake us laa-makaan may.....mai kahaan nahi.....na mujhe tujh se kuch chah hai...na arzu koii..teri arzu may bhii mai ,tujhe arzu hai meri raza ki agar....imtihaan sakht hai..magar himmaten bhi mai hi bakhshunga tujhe....hauslon ko tere azmaunga bhi mai....mohabbaten bakhsh kar tujhe tujh se chin le jaunga mai....yehi marhala tujhe mujh tak le aayega....is derd ki dawa mujh se hi tu paayega...gar ghaur kar sake saa-at ek kaafi hai teri...samjh aajayengi tujhe raahen meri...manzil-e-maqsud ki taraf gar badhenge tere qadam..her qadam per tere milega rahbar....tanha tu kahin bhi nahi....asmanon se bhi pehle tu mujhe paayega yehin..
Duniya arzuon ka lapakta shola hai jiski hasrath may insaan khud ku bhula hai...rab ka wasta tujh ko,kuch saansen baaqi hain...waqt rehte inhen rehmat ke qabil karle....khud ko mohabbat ke qabil karle....
Jo gul khwaab they sab tere astaane may they...jo khaar they zeest ke teri mohabbat ne chunn liye...arzuyen sabhi nadim raheen apne aap per..shikayeten apne aap per khafa hone lageen...kuch is tarha badla gaya rukh taqdeer ka...zindgi jaise khwab hai aur duniya khwabgaah....waaqi ek khwab musalsal hi tou hai jiski taabir sada ulti hai...chahe kuch ,dekhe kuch...paaye kuch....jub tak saari kadiyaan mil nahi jaateen sare taar uljhe rehte hain...inko mazeed uljhane wala hi suljhane may madad karta hai...saayel ka haq hai paana....Daata ka karam diye jaana....
Na hindu,na sikh,na esaaii na muslim,yaad ho Adam tou sab hain ek jaan...ye shar ki ekhtra thi,mazhab ke naam badle....dil wahi they samjhne ke andaz badle...ye khaali zehnon ki jaageer hai..haakim khwabon ki tabeer hai....Insaan gar sochta, paata sada tahi-dast lachaar khud ko...ek ek saans per qabiz hai jo,usi ki rehmat ka haasil hain hum....apni merzi na aane may hai na jaane may hai...her taraf uske karam ka hi nazara hai....sab jaanta hai admi....phir bhi baaghi hai behkta hai admi....usey apne dil-o-dimagh ka ghurur hai...jo insaan ko rahmat se mile....Qaadir agar chahta ,bandon ko ye sharf milta nahi....vo janwar jinhen be-zubaan hi rehne diya unme hi shaamil karta humen...magar ek sharf unko bhi mila hai ghaur kar sako tou karo....unme wafa hai...unme saath nibhane ki ada hai...unki misaal sab se juda hai....hum insaan khalifa-e-duniya ban ke aaye...khilafat ke zorr per zameen may kya kya gul khilaye....ashrafon ne sharf apna pehchana nahi...khud ke wajud ka matlab jana nahi....bas saluk se pehle raah-e-gunaah per rakha qadam....shaitaan ki sohbat raas aane lagi her dam....ke usko pasand hai bartari...vo sadion se isi liye bhatka kiya....insaan ki bhatkan usey mehbub hai...qudrat se ladaii usko marghub hai.....ab ye kahaan jung khud se kare...adam ki niyaat kahaan itni jaldi bhare....khahishon ki baad may jo bah gaya....usey her qadam per iblis aad ban kar milgaya....Aaa dekh yehaan tu mehfuz hai....ayesh-gaah-e-tarab meri tujh se hi mansub hai....jo Rab ne radd kiya vo dunga tujhe.....tu jahaan us se milega mai wahin milunga tujhe...her bigdi huii imaarat ke nazdik hun...tere khayalon ka khandar hun tuti hui daheliz hun...mai tere nafs ki jageer hun....mai tere abad tak saath tere rahgir hun....Haan agar tujh may siwa uske koi khahish nahi....phir samjhle waan teri pursish nahi...mai darmyaan qaliq-o-maqluq ke us waqt hota nahi.....jub banda sajdon may khahishon ke liye rota nahi....roye nadim tou rota hun mai....is per qabza mera kyon hota nahi....ek baat tum ko pata hi nahi...kaii naam mazhab ke maine hi rakhe kaii...mai insaan ki taqliq ka mara hua....ek adam ki khatir junnat haara hua....asmanon se gira bihsht se kinara hua....tab se adami ke dil ka chor hun.....jo kamzor dil hain un ka zor hun....gharz bach sako mujh se tou bacho....Raah khuda ki chuno...wahin se hi mai bhi aaya hua....apni ana ka mai sataya hua...mitti ho noor ho naar ho sab uske isharon ki dane hain...koii kisi se barter nahi...ek wahi sab se barter azeem....jo samjhle kehlaye faheem.....
khwaab ho ya khayal ho,hijr ho ya visaal ho
uski khushi pe rakh nazar,apni khushi kabhi na dekh
sajda qabul ho na ho,is se tujhe gharz nahi
ferz ko apne kar,haasil-e-bandgi na dekh
ishq hai asal zindgi,ishq to khud hai bandgi
haasil-e-aashiqi hai kya,haasil-e-aashiqi na dekh