Dard bhari zindagi ka suraag dhondta hoon
Hai andhera bahut yahan ek chiraag dhondta hoon
Banaya unhone tamsha zindagi ka es tarah
Ke ab us meharbaan ka elaaj dhondhta hoon
Koi in andhero main meri dil ki shmma jala de
Main apni badnasibi ka raaz dhnodhta hoon
Hasrat ka aayina us pather dil ne torh diya
Shishoon ke in tukroon main apna aaj dhondhta hoon
Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
DIL ko behlane ke liye koi haseen khaab phir se dhondhta hoon