Kahan Yea Bass Mein Keh Hum Khud Ko Hosla Detay
Yahi Buhat Tha Keh Har Ghum Peh Muskura Detay
Hawa ki Doorr Ulajhti Jo Ungliyun Say Kabhi
Hum Aasmaan Peh Tera Naam Tak Saja Detay
Hamarey Aks Mein Hoti Jo Zakhmi Dil Ki Jhalak
Hum Aainey Ko Bhi Apni Tarah Rulaa Detay
Humein Bhi Roshin'ion Par Jo Dastaras Hoti
Kabhi Chiragh Jalatey Kabhi Bhujaa Detay
Hamaray Paoon Hawaon Ki Zud Mein Thay Warna
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay
Ab Uski Yaad Say Uska Badan Tarashtey Hein
Woh Khuwaab Bhi Toa Nahe Tha Keh Hum Bhula Detay
Ussi Kay Wastay Mohsin Kahi Hay Taza Ghazal
Hum Uski Saalgira Par Ab Aur Kiaa Detay?