hum-zubaaN na milaa…
dayaar-e-dil meN pursaan-e-be-dilaaN na milaa
huaa bhii koii muKhaatib to ham-zabaaN na milaa
voh Khaak-daaN jo banaa haft qila-e-miina
usii ke khaanabadoshoN ko KhaanamaaN na milaa
uroos-e-asmat-e-kirdar ki Khabar mafquud
jab ek baar gayaa, ganj-e-shaae’gaaN na milaa
ye musta’aar tabassum ye mol ka Ghaaza
nishaan-e-anjuman-e-mehr-chagaaN na milaa
vo daGhdaGhe to faqat the qadam uThaane tak
nikal chale to sunaa thaa jo haft-KhwaaN na milaa