Author Topic: Aman ki baat mein  (Read 589 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Super boy

  • Moderator
  • *
  • Posts: 4179
  • Reputation: 582
  • Gender: Male
Aman ki baat mein
« on: January 08, 2010, 04:30 AM »
Aman ki baat mein takraar bhi ho sakti hai
Shaaq zaitoon ki talwaar bhi ho sakti hai

Jis ke saaye mein aman dhond rahi hai duniya
Koi ghirti hui deewar bhi ho sakti hai

Yeh alag baat ke lab si liye mein ne warna
Khamooshi yeh meri lalkaar bhi ho sakti hai

Ho raha hai sare bazaar yeh jis ka neelaam
Mere aslaaf ki dastaar bhi ho sakti hai

Oonchi dewaarein agar is ki giraadi jaayein
Toh haveli yeh hawadaar bhi ho sakti hai

Yeh nai nasal bhatki hai jo taareeki mein
Kya viraasat ki yeh haqdaar bhi ho sakti hai

Meri haq goi ka unwaan khata hai to Ali
Yeh khata mujh se kai baar bhi ho sakti hai.

   
Ghalat Jagah Te Laayii,Ghaltii Sadii Si
Utto'n Keeti Laa Parwayii,Ghaltii Sadi Si
Ohda Kuj Gya Nai Saada Kuj Rehya Nai
Bewafa Naal Layi Yarii Ghaltii Sadii Si...!!!


Offline anjumkhan

  • Sr. Member
  • *
  • Posts: 1623
  • Reputation: 1664
  • Gender: Female
    • Email
Re: Aman ki baat mein
« Reply #1 on: January 22, 2010, 03:33 AM »
 thanks thumbsss very nice

Bhlay Cheen lo muj sy meri jawani.
Mager muj ko lota do Bajpan ka sawan.
Wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani.