CHALO TUMKO BATATE HAIN
Chalo tum ko batate hein 
Ke tum ko dekh kar dil ne 
Kaha tum rishta-e-jan se bhi barh kar ho 
Dua ki sarhadon par 
Jo adhoori hai ,meri aisi tamanna ho 
Mere dil ka mukaddar ho 
Ke tum ik roshni ban kar ,shafa le kar 
Kabhi dast-e-masiha ki tarah 
Utre huey , har zakhm-e-dil par ho 
Chalo tum ko batate hein 
Ke tum iman hamara ho 
Sara-e-dehar mein andesha-e-zindagani mein 
Tumhi dil ka sahara ho 
Jo rooh ke aasman pe jagmagaya hai muhabbbat se 
Suhani sham ki chahaton ka pehla tara ho
Wafa ka ista-ara ho 
Tumhare kurb ki kushboo se pathar ki tarah hum ne 
Sulagti dhoop mein phelao paya hai 
Tumhare pyaar ke rangeen kanwal thandi hawa se 
Sarsarate hein 
Hum sawan mein bheege pairon ko choo lein to 
Tumhare lams ki khusboo ke lamhe jagmagate hein
Chalo tum ko batate hein 
Ke hum ne zindagi ke sab warq le kar 
Sab hi satron mein likh li tamanna tum ko pane ki 
Zamane bhar mein shayad katib-e-taqdeer ke hathon 
Mere dil ne likh li hai tumhari chah ki khwahish 
Tumhari aarzoon ka jo ik idraak hai mujh mein 
Kisi mein ho nahi sakta 
Tumhari muskurahat ka ik armaan hai mujh mein 
Kisi mein ho nahi sakta 
Chalo tum ko batate hein 
Chalo tum ko batate hein