Jo bhi guzra, jo hua kya karna
Unsy umeed-e-wafa kya karna
Waqt ny Kaat diye par mery
Le kar ab sung hawa kya karna
Be-khabar ho k jaza se akhir
Khud ko tajveez saza kya karna
Aqal or ishq mai kaisi tafreeq
Zehn-o-dil dono juda kya karna
Patharon k liye sajde kaisy
Aisa khamosh khuda kya karna
Sab khataon k hain putley Ahmed
Ibn-e-Adam se gila kya karna