ik aam si larki!
apni haseen aankhon mein
kaanch sey nazuk khawab sajaye
unn ki tabeer k intizar mein
rehti hai
iss ehsaas sey bey khabar
k uss k yeh abeeno jaisay khawab
toot gaye to kya ho gha???
ussey sirf pachtana ho gha
ik masoom sii larki!
apnay dil mein yeh aarzoo liye
jansti muskurati rehti hai k
uss k khawabo'n ki tabeer
jald ho ghi
lekin!
phir ussey pachtana hi parta hai
aoro'n k faisilo'n par sar jhukana hi parta hai
ik pagal si larki!
siwaye ronay aur aansoo bahanay k
aur kuch kar nahin paati
woh bey basi sey seb ko
dekhti reh jaati hai
sochti reh jaati hai
lekin taqdeer uss k khawab
kirchi kirchi kar deyti hai
ik buhadar si larki!
phir ibn e aadam k paao'n ki dhool ban-nay ko
tayaar milti hai
bint e hawa aaj sey nahin
sadiyon sey issi salook ki haq daar tehraii jaati hai
ibn e aadam k qadmo'n talay
bint e hawa k dil ki sarzameen paayi jaati hai
aye bint e hawa teri azmat ko salaam
yeh nzam sirf aur sirf teray naam...!!!