Bohat muddat se aisa hai,
k tum khamosh rehte ho
koi gehra hai ghum shayed,
jise chup chup sehte ho
yunhi chalte huay tanha,
koi ghamgeen sa naghma
tum aksar gungunate ho,
dooran-e-guftagu yunhi milian nazron se jab nazrain,
tu batain bhool jaate ho
kisi gum sum si haalat mein,
ya phir barish k mosam mein
fakat itna hi kehte ho,
udasi be-wajah si hai
bohat bhojal tabiyat hai,
bhala sach kiyon nahi kehte,
KISI KO YAAD KARTE HO