Mai maut se darta hun bahot,
Par ek din marna hai zaroor,
Mai kafan dekh kar laraz jata hu,
Par ek din pehan`na hai zaroor,
Mai janaza dekh kar gamgeen ho jata hu,
Par ek din mera janaza uthna hai zaroor,
Mai qabar k andhere se kaanp jata hu,
Par is mai ek din jana hai zaroor,
Yeh dunya acchi lagti hai,
Par isko ek din chhod k jana hai zaroor,
Phir bhi main ne aakhirat ki tayyari nahi ki,
Par ALLAH Ko Hissab Dena hai Zaroor.