ZaKhm-E-Tanhai mein khushbu-e-Hina kis ki thi,,
Saya Deewar pr mera tha sada kis ki thi,,
Uss ki raftar sy lipti rahien Aankhein meri,,
Uss ny murr kr bhi na dekha wafa kis ki thi,,
Ansu°on sy hi bhar gaya daaman mera,,
Hath to main ny uthaye thy Dua kis ki thi,,
Meri aankhon ki zuban koi samjhta kesy,,
Zindagi itni dukhi mery siwa kis ki thi,,
Aag sy dosti uss ki thi jala ghar mera,,
Dey gaya kis ko saza aur khata kis ki thi..