Kon ho Masnad NasheeN Khaak-e-Madina choor kar
Khuld dekahy kon Koo-e-Shah-e-Bathaa choor kar
Dil ki basti or Armaano ki duniya choor kar
Haye kiyu lootay thay ham Shehar-e-Madina choor kar
Ghar say ponchay Unn kay Roozay par to ham ko youn laga
Jaisay Aa niklay koi Gulshan ma Sehra choor kar
Thi na Chahat Dil ma Zahra S.A kay Dulaaron ki agar
Kiyu utartay thay NABI صلى الله عليه و آل وسلم Mimbar say khutba choor kar
Rahnamunan-e-Rah-e-Haq thay orr bi laakhon magar
Koi Manzil par na poncha Ibn-e-Zahra S.A choor kar
Wo azal say Mere Aaqa , Ma ghulaam Ibn-e-Ghulaam
Kiyu kisi kay darr pay jaon Unn ka sadka choor kar
Ma kahan ghoomon Kahan Thehron Kissay dekha karon
Unn ki Galiyaan Unn ki Jaali Unn ka Rooza choor kar
Mustufa صلى الله عليه و آل وسلم Jannat ma jaein gay na Ummat kay begair
Jaa nahi sakta kabi Tinkoon ko Dariyaa choor kar
Poochnay phir kon aaye ga NASEER Unn kay siwa
Jab Lahad ma tujh ko sab lootein gay tanha choor kar