Jis taraf say wo Gul-e-Gulshan-e-Adnaan صلى الله عليه و آل وسلم gaya
Sath hi Qaafila-e-Sunmbal-o-Rehaan gaya
Iss bulandi pay na hargiz kabi insaan gaya
Arsh pay ban kay Wo صلى الله عليه و آل وسلم Allah ka mehmaan gaya
Lay kay jannat ki taraf jab muje Rizwaan gaya
Shoor utha wo Gadaa-e-Shah-e-Zeeshan صلى الله عليه و آل وسلم gaya
Mujh khata kaar pay kiya kiya na kiye Tu nay karam
Mere Aaqa صلى الله عليه و آل وسلم Teri Rahmat kay main Qurbaan gaya
Na Khudaayi issay kahiye kay Khudaayi kahiye
Meri kashti ko ubhaaray hoay toofan gaya
Fakhar-e-Doolat bi ghalat Naaz-e-Nasab bi baatil
Ha ya kaafi jo main duniya say Musalmaan gaya
Mujh gunehgaar pay Atmaam-e-Karam aisa tha
Hashar ma door say RizwaaN صلى الله عليه و آل وسلم muje pechaan gaya
Jab Qadam Daira-e-Ishq-e-Nabi صلى الله عليه و آل وسلم say nikla
Baat Imaan ki itni ha kay Imaan gaya
Taa-Dar-e-Khuld rahi Chehra-e-Anwar صلى الله عليه و آل وسلم pay nazar
Sab nay dekha kay ma parhta hoa Quraan gaya
Mere Amaal to bakhshish kay na thay phir bi NASEER
Ki Muhammad صلى الله عليه و آل وسلم nay shifa'at to Khuda maan gaya