aankhain to mari band theen par dil kay dareechay par ik saaya tha
aankhain jo khleen to saya tha ajnabi ajnabi
maloom na tha waqt ka yah safar kis manzil per lay gaiga
aankhain jo khuleen to har manzar tha ajnabi ajnabi
waqt nay karwat li,halat badal gaya to fasla bhi  badalna tha
par yah har shanasa hay kiun ajnabi ajnabi
waqt kay dharay par hota hai har rishta ik kasoti sa
ik hi chot pay ho gaya har rishta ajnabi ajnabi
hawadis kay bhanwar say guzray to har chahra anjan bana tha
ab lagta hai apna saya-e-deewar bhi ajnabi ajnabi
unsiat si ho gai is ada pay  kay har koi begana tha
thandak si parh gai dekh kar,cheray ajnabi  ajnabi