Mere chara gar ! mere dard ki tujhey kiya khabar...
tu mere safar ka shreek hai naheen HUMSAFAR, merey chara gar
tere hath se mere hath tak woh jo hath bhar ka faasla tha
kayee mausamon main badal gaya usey naptay usay kaatay
mera sara waqt nikal gaya
nahee jis par koi nishan paa, meray samne hai woh rehguzar
merey chara gar....
Yeh jo raig dasht-e-farakh hai,meray raston main bichi howi
kisi mor pe rukay kaheen,
yeh jo raat hai meray char soo, maagar iski koi sehar naheen
nah chaoon hai na samar koi, maine chaan dekha shajar shajar
mere chara gar! mera dard ki tujhey kiya khabar