Tum gaey dino mai jo sath thy mery qalb-o-jan ka saboot thy,
Ye bila waja tera roothna meri zindgi ko mita na de
Tere samne mery Hum-nafas meri dharkno ki bisat kia?
Tera is tarah mujhy dekhna kahin meri umr ghata na de,
Tujhy ilm hy ay tabib-e-jan Tera pyar meri Hayat hy,
Main mareez hun tere qurb ke mujhy door ja k dawa na de
Yahan sb andher prast hain yahan Roshni ki majal kya
Ye chiragh pihr b chiragh hy koi aaty jaty bujha na de